kya aapse thik se baat nahi ki jati?
kya Hamesha aapki shikayat ki jati hai?
kya Aapke dharma,pasand aur icchhaao ka apmaan kiya jata hai?
kya sharirik, maukhik, yonik, mansik aur arthik roop se aap par atyachar kiya jata hai?
kya aksar aapko kisi na kisi baat par dhamki di jati hai?
kya aapki manyatao ka majaak udaya jata hai?
kya ghar ya bahar sabke saamne aap ka apmaan kiya jata hai?
kya ichcha ke khilaf aapko kuch aisa karne ko kaha jata hai jo aap karna nahi chahati?
kya aap ise rokna chahte hai?agar iska jawab koi purush de to aksar ye kehte hai ye to har ghat me hota hai aur is bare me ham kya kar sakte hai. aur dekhne wali baat hai ke jyadatar mahilaye bhi yahi kehti hai. yadi wo koi mahila ho to kehti hai ye to meri maa, dadi unki dadi aur unki dadi ke saath bhi hota tha, takriban har mahila ke saath chote ye bade paimane par ek ya ek se jyada baate hoti hai iska matlab ye to nahi ke hamare saath hinsa ho rahi hai.
pati ki maar khana ya saas ki gaali khana jaise riwaj chal pada hai aur chaukane wali baat to ye hai ki aurto ne ise kabhi pati dharam, parampara jaise naam leke apna liya hai ya yun kahe apnana pada hai. lekin mahilaye ye baat bhul jati hai ke jab unki beti, bahu ya unse choti behen shaadi hogi aur uske saath bhi isme se kuch baate hogi aur wo bhi chup chap seh legi kyu ke usne aapke saath ye sab hote dekha hai. mujhe nahi lagta ke koi maa ye chahegi aur chah bhi kaise sakti hai.
mahilao ke chahiye ye ko ab is baat ko samjhe unke saath ghar ke bahar jo bura bartav ya jorjabardasti se lekar apaharan aur balatkar hote hai in sabki neev ghar me dali jati hai. aur aapke chup rehne se ye pratha band nahi ho pati. ab aapko phir ek baar sochna padega ke aap kya chahte ho sammman ya har kadam par apmaan. niche kuch aakde diye gaye hai mahilao ke prati hone wali hinsa ke jo 2001 Indev second edition se liye gaye hai:
har 26 min: kisi mahila ke sath jorjabardasti
har 54 min: kisi mahila ke saath balatkar
har 4 min: kisi mahila ka apaharn
har 10 min: kisi na kisi mahila ki dahej ke liye jalakar hatya
ummid hai in aakdo ko dekhne ke baad aap ek pal ke sochengi jarur aur ye dhyan rakhe mahilao ke prati hone wale kisi bhi prakar ke durvyavhar ki shuruwat ghar se hoti hai. aur shayad isi liye gharelu hinsa ko rokne ke liye 2005 me kanun banane ki jarurat padi jo ki mahilao ko har tarah ki gharelu hinsa ke prati suraksha pradan karta hai. to chalo ye thaan le ke mai na sahi kisi na kisi ki to mai madad jarur kaungi.
agar aap chahe to ise aage bhej sakte ho. padhne ke liye shukriya dhanyawad.
Initiative by rahul_nishi to crete awareness against Domestic Violence. please forward it and add some information if you wish. Thanks.
aapne ek prashansniya kary kiya hai, jiske liye aap badhai ke patr hain. jagrook to aapne kiya hai, ab ham sab ko milakar ise rokne ke baare me kaam karna hoga...
ReplyDeletePahle to hame un paristhitiyon ko hi banane se rokna hai jo hinsa ko janm de sakti hain.
Iske baad hame hinsa ko rokne ke tarikon par sochana hoga.
shukriya lekin sochne se kaam nahi chalega ab waqt hai kuch kar dikhane ka......
ReplyDelete